Hello Friends, aaj ke is article Mein Mai aapko batane wala hun ki WhatsApp ke delete message kaise dekhe ya padhe, Dosto aaj ke samay mein WhatsApp to har koi use karta hain almost, mai bhi karta hu agar aap bhi ek WhatsApp user hain to aapke man mein yeh sawal to jarur aaya hoga ki WhatsApp par Delete for everyone message kaise dekhe.
Dekhiye dosto aapke kafi sare friends hote hain jinse aap baat karte hain WhatsApp par ab aapka koi friend aapko koi message bhejta hain aur use aapke padhe Bina jaldi se delete kar deta hain aise mein aap kya karoge? Dosto aap log YouTube par videos dekhoge ya Google par articles padhoge.
Lekin abhi tak aapko koi aisa tarika nahi mila hain jiski help se aap log WhatsApp message delete hua wapas La paye, isiliye aap yeh article padh rahe ho. Lekin dost tension bilkul mat lo kyuki aaj mai aapko bataunga ki whatsapp ke delete message Wapas Kaise Laye.
Chaliye dosto ab mai aapko batata hu ki aap yeh kaam kis tarah kar sakte ho aur apne WhatsApp ke deleted message kaise wapas la sakte ho.
WhatsApp ke Delete Message Kaise Dekhe ?
WhatsApp Deleted message kaise dekhe aur padhe – dosto iske liye aapko apne mobile phone mein ek app download karna hoga is app ka name hain Antidelete: view Deleted WhatsApp Messages Simply aapko Google Play Store par Jana hain aur search bar mein likhna hain app ka name first number par app jo aayegi wahi aapko download ya install karna hain.
Dosto agar aapko search karne se nahi mil Rahi hain to mai ek kaam karta hun aapko Mai app link de raha hun niche yaha se aap derect app ko download kar payenge asani se aur Delete WhatsApp chat History dekh paoge.
Dosto app ko download karne ke baad baad kya karna hain wo Mai aapko bta deta hun niche mai aapko kuchh steps bta raha hu jise follow karke aap iss app ko setup kar paoge aur WhatsApp deleted message ko dekh sakte ho.
- Sabse pehle Antidelete App ko Download kare uske baad Open kare.
- App ko open karne ke baad aapko Notification Access permission ko Allow karna hoga.
- Notification access permission Dene ke baad aapko app se back aa jana hain ab aapka Sara kaam ho chuka hain.
Dosto ye app basically Notification ko read karti hain jaise mai aapko smjhata hun Maanlo Aapke Friend ne WhatsApp par Koi message Kiya To aapke phone mein notification aata hai wahi notification ye acces kar Lena hain.
Ab aise mein aapka friend agar message delete kar bhi de to koi fayeda nahi aap fir bhi use iss app ke andar aakar uss message ko dekh sakte ho.
Note: dosto aapke mobile data on rehna Chahiye Aur WhatsApp Notification bhi On Rehna Chahiye, Kyuki yeh app notification ko read karta hain agar aap notification hi off karke rakhenge to fir yeh app kaam nahi karegi.
Conclusion:
Aasha karta hu dosto aap ko smjh aa gaya hoga ki WhatsApp ke deleted message kaise dekhe iske bare mein agar aapka koi sawal Hain to comment kariye aur is Post ko apne friends ke sath bhi jarur share kare.
1 thought on “WhatsApp ke delete message kaise dekhe 2023”